Poetry

This page has poetry in different languages that is like by people having taste of poetry.

Urdu Poetry (In Roman Urdu)

Great Collection of Urdu Poetry

- Samnay manzil thi or peechay uski awaz.. Rukta tou safar jata.. chalta tou bichar jata..
- Nazakat Naz Nainon k bananay say nai aati... Jab Khuda Husan Deta hai Nazakat aa he jati hai
- Mat khol meri mazi ki kitabon ko aay dost ..Hamsay har us shakhs nay bewafai ki jiski dosti pe naaz tha
- Tuti kabron pe baal bikhraye jab koi mahjabeen roti hai.. Mujhko aksar khiyal aata hai mout kitni haseen hoti hai..
- ana k mor pe bichray, tu hamsafar na milay -------- hum 1 hi shehar ma reh kr bi umer bhar na milay  
- Peda hua jo wakeel tou shetan nay has k kaha.. Aj ham b sahib-e-olad huay..
- Peda hua jo wakeel tou mazloom nay kaha.. Aj ham b sahib-e-awaz huay (Remiz Wukla Version)
- Urtay Parindo ko koi kaid nai kar sakta Saqi.. Jo apnay hotay hein wo khud he lout aatay hein..
- Mei jo badloon tou taghyur hai meri zaat talq.. Tu jo badlay tou subha sham badal jatay hein..
- Teri Be rukhi pe koi aiteraz nai hamein.. kis haal mei hein itna tou poch lia karo..
- Log muntazir he rahay k hamein tota hua dekhain.. ham bardasht kartay kartay pathar k ho gaye..
- Aj phir mosam nam hua hai meri ankhon ki tarah.. Lagta hai zaroor kisi nay badlon ka dil dukhaya hoga.
- Sanso ka tot jana tou aam si baat hai saqi.. Jahan apnay yaad karna chor dein mout usko kehtay hein
- Wohi tafreeq ka alam hai baad-e-marg b.. Na katbay aik jesay na kabrein aik jesi..
- Ajeeb logon ka basera hai teray shehar mei sagar.. ana mei mit jatey hein magar muhabbat nai kartay..
- Nigahein ab tak uss shaks ko talash kar rahi hein.. Jisnay kaha tha LLB ka bara scope hai
- Jufa jo ishq mei hoti hai jufa he nai.. Agar sitam na ho tou muhabbat mei kuch maza he nai
- Aay hawa na aa k dil mei zakham hai... Tees uthti hai jab hawa lagti hai..
- Menay chaku tujhsay cheena hai tou chilata hai tu... Mehrban hon mei mujhay na mehrban samjha hai tu
- Muhabbat zindagi ke faislon se lar nhe sakti Dost....Kisi ko khona parta ha ya ksi ka hona hona parta hai 
- Uss k honton pe honton k nishan chor aaya hon...Uss nay mangi thi muhabbat ki nishani mujhsay.. 

From Songs

Raazdaroon Say Bach K Chalta Hoon
Gham Gusaron Say Bach K Chalta Hoon
Mujh Ko Dhoka Dia Saharoon Nai
Ub Saharoon Say Bach K Chalta Hoon

Shab-E-Gham Ki Sahar Nahi Hogi
Wo Bhi To Meray Ghar Nahi Hogi
Zindagi Tu He Mukhtasar Hoja
Shab-E-Gham Mukhtasar Nahi Hogi

Raat Yoon Dil Mein Teri Bholi Howi Yaad Aayi
Jaisay Weeranay Mein Chupkay Say Bahar Aa Jayi
Jaisay Sehraon Mein Honay Say Chalay Baad-E-Nasim
Jaisay Beemar Ko Be-Wajhay Qaraar A Jayi

Mein Nay Pur Noor Sitaroon Mein Tujhay Dekha Hai
Mein Nay Masoom Baharoom Mein Tujhay Dekha Hai
Meray Mehboob Teri Parda Nashini Ki Qasam
Mein Nay Ashqoon Ki Qataron Mein Tujhay Dekha Hai

Aaj Ki Baat Phir Nahi Hogi Yeah Mulaqat Phir Nahi Hogi
Aisay Badal To Phir Bhi Aain Gay Aise Barsaat Phir Nahi Hogi
Raat Un Ko Bhi Yoon Howa Mehsoos Jaisay Yeah Raat Phir Nahi Hogi
Ik Nazar Mur K Dekhnay Walay Kia Yeah Khairaat Phir Nahi Hogi

Angrai Peh Angrai Leti Hai Raat Judai Ki
Tum Kia Samjho Tum Kia Jano Baat Meri Tanhai Ki
Angrai Peh Angrai Leti Hai Raat Judai Ki
Tum Kia Samjho Tum Kia Jano Baat Meri Tanhai Ki

Toot Gaye Sayyal Nageenay, Phoot Bahay Rukhsaroon Per
Dekho Mera Saath Na Dena, Baat Hai Yeah Ruswai Ki
Kon Siyahi Ghol Raha Hai, Waqt K Behtay Darya Mein
Mein Nai Aankh Jhuki Daikhi Hai, Aaj Kisi Harjayii Ki

Wasl Ki Raat Na Janay Kiyoon, Asrar Tha Un Ko Janay Ka
Waqt Say Pehlay Doob Ga’ay, Taroon Nai Bari Danaii Ki .


Freelance Poetry by unknown people

- Meray Baad Hi Aaye Ga Chahat ka Aesa Maza Tumhay... Tum Logo Ko Kaho Gay Mujhy Chahoo Us Ki tarha
- Ansoo Utha letay hein meray ghamon ka boj.. Ye wo dost hein jo ahsas jataya nai kartay
- Kiya rakha hai iss gham bhari duniya mei nafraton k siwa.. Chal khol apna maykhana ham totay dilon ka darbar sajatay hein
- Wajood sheshay ka ho tou pathron say muhabbat nai kartay.. Ehsaas-e-Chahat na milay tou wajood bikhar jaya kartay hein
- Sari zindagi kar k barbaad ishq ki lazat chakh li hai... Usnay b burqa pehn lia hai menay b dari rakhli hai

Spirtual
- Aik he dar pe sar ho tou sajdon mei sakoon milta hai... Bhatak Jatey hein wo log jinkay hazaron Khuda hotay hein

Faraz Korner
- Sari Umar kanton mei guzar detay hein... Kon Kehta hai Pholon ko Gham nai Hota
- Wafa ki laaj mei mana letay tou acha tha faraz... ana ki jang mei aksar tanhai jeet jati hai
- Mujhay nai Maloom mei kis diyay ki aag hoon .. Jisnay Chaha Jala dia jisnay chaha bhula dia
- Log hamsay taash k patoon ki tarah kheltay rahay faraz.. Jisnay jeeta usnay b phenka, jisnay hara usnay b phenka.
- Kesay karay ga tu meri chahat ka andaza faraz.. meri chahat ka samundar teri soch say b gehra hai..
- Iss barish k mosam mei ajeeb si kashish hai faraz.. Na chahtay huay b koi shidat say yaad aata hai..
- Baha k ansoo meray wo kehtay hein faraz... tumhari ankhon mei pani kitna haseen lagta hai
- Uski Ankhon ko kabhi ghor say dekha hai faraz... Ronay walon ki tarah jagnay walon jesi..

Ghalib Corner
- Mein inqilabe zamana ka yaqeen kesay karun Ghalib... Wohi dard hai meray aah mei wohi berukhi uski nigah mei
- Ham sari zindagi aik he ghalti kartay rahay ghalib.. Dhool chehray pe thi or ham aaena saaf kartay rahay. - Bazm-e-wafa mei hamari gharibi na poch ghalib.. aik dard-e-dil hai wo b kisi ka dia huwa..
- Kash wo subah neend say jagay tou mujhsay larnay aye ghalib.. tum hotay kon ho meray khwabon mei anay waly..
- Deedar ki talab hai tou nazrein jamaye rakh ghalib... Parda ho ya nikab sarakta zaroor hai..
- Khuwahishat k kaflay b buhat ajeeb hotay hein ghalib.. Ye wahan say guzarna chahtay hein jahan rasta nai hota.
- Iss ishq nay hamko bekar kia ghalib.. warna aadmi thay ham baray kaam k..
- Kiun kuch soch k mei dil chota karun Ghalib.. Wo utni he wafa kar saka jitni uski oqat thi...
- Nai hai hamko tumsay shikwa tumhari sitam gari ka ghalib.. k tum ko darse wafa mila hai udaas rehna udaas rakhna
- Yeh na thee hamari kismat k wasal-e-yaar hota.. Agar or jeetay rehtay tou yehi intezar hota..
- Itnay zalim na bano kuch tou murawat seekho ghalib... tum pe martay hein tou kia maar he dalo gay


Allama Iqbal Corner
- Ki Muhammad(SAW) say wafa tunay tou ham teray hein... Ye jahan cheez hai kia loho kalam teray hein..
- Tum mei huron ka chahnay wala he koi nai.. Jalwa e toor tou mojoud hai.. Mosa he nai
- Aj b ho jo ibrahim ka imaan peda.. Aag kar sakti hai andaz-e-gulistan peda..
- Na samjho gay tou mit jaon gay aay hindustan walo.. Tumhari dastan tak b na hogi dastano mei
- Gunwa di hamnay jo aslaf say miras pai thi.. Suraya nay hamein asman say zameen pe day mara
- Tundi e Baad e Mukhalif say na ghabra aay aukab.. Ye tou chalti hai tujhay uncha uranay k liyay
- Tu shaheen hai basera kar paharon mei chatano par.. Teray agay aasman or bhi hein
- Shaheen kabhi apni parvaaz say thak k nai girta.. Pur dam hai agar tu tou nahin hai khatra e guftar
- Girtay hein shahsawar he medan-e-jang mei.. Wo tifl kia giray jo guthno k bal chalay
- Maktab-e-ishq ka dastoor nirala hai.. Usko chuti na mili jisnay sabaq yad kia
- Sitaron say agay jahan or b hein... Abhi ishq k imtehan or b hein.
- Aata hai yaad mujhko guzra hua zamana.. Wo bagh ki baharein wo sab ka chahchana..
  Azadian kahan wo ab apnay ghonsalay ki.. Apni marzi say aana apni marzi say jana
- Nahin hai na umeed Iqbal Apni Kishte Weeran say... Zara Nam ho tou ye Matti Bari zarkhez hai saqi
- Dunya ki thokro say aik he sabaq seekha hai iqbal.. Tamam mushkilon ka hal aik sajda-e-khuda me chupa hai.
- Jannat ki sair kar raha tha k raat ho gai.. subha ko jab ankh khuli tou sar maa ki aghosh mei tha
- Ya Rab dil-e-Muslim ko wo zinda tamana day.. Jo kalb ko garma day jo rooh ko tarpa day..
  Phir Wadi-e-Faran k har zaray ko chamka day.. Phir shoq-e-tamasha day phir zoq-e-taqaza day..
  Mehroom-e-Tamasha ko deeda-e-bina day.. Dekha hai jo kuch menay oron ko dikhla day..
- Apni Milat pe Qiyas Aqwam-e-Maghrib pe na Kar.. Khas hai tarqeeb mei qom-e-rasool-e-Hashmi
- Afrad k hathon mei hai aqwaam ki taqdeerein.. Har fard hai millat k muqadar ka sitara..
- Fard qaim rabt-e-millat say hai tanha kuch nai... Moj hai darya mei or berun-e-darya kuch nai
- Soraj hamein har sham yehi dars deta hai.. k maghrib ki taraf jao gay tou doob jaoo gay
- Ye dour apnay Ibrahim ki talash mei hai .. Sanam kada hai jahan La ILaha Illal Allah..
- Agarchay but hein jamat ki asteenon mei.. Mujhay hai Hukm-e-Azan La ILaha Illal Allah..
- Yun tou sayed b ho, mirza b ho, afghan b ho, tum sabhi kuch ho.. Bataoo tou musalman b ho..
- Meray dil ko lubha leta hai husn-e-zahiri.. Kam nai teri nadani say nadani meri..
- Nasha Pila k girana tou sabko aata hai.. Maza tou jab hai k girtoun ko tham lay saqi
- Dunya ki mehfilon say ukta gaya hon ya rab.. Kia lutf anjuman ka jab dil he bujh gaya ho..
- Mei bulbul e nala hon aik ujray gulistan ka.. taseer ka sael hon, muhtaj ko data day..


Mohsin Korner
- Ham maan chukay hein ab ye baat b Mohsin.. Ham jisay dil say chahein wo apna nai rehta..
- Aadaten sub buri hain Mohsin ki ... Acha lagta hai wo magar kitna
- Hamein apni muhabat pe itna yaqeen hai Mohsin.. Koi hamein chor sakta hai magar bhol nai sakta
- Ruth janay ki adaa hamein b aati hai mohsin.. Kash koi hota hamko mananay wala
- Mere hath0n ki lakeer0n Main ye Aib Chupa h Mohsin..Main jis Shaks k0 Chuu loun Wo0 Mera nhi rehta...

Saaqi Korner
- Wo Dil mei hai dharkan mei hai rooh mei hai Saaqi... Sirf kismat mei nai hai tou Khuda say Gila Kesa

Wasi Korner
- Tareekh Hazaron salon mei bas itni si badli hai wasi... Aj dour pathar ka nai pathar dil walon ka hai



No comments:

Post a Comment